Meer Taqi Meer

samjhe the mir hum ki ye nasur kam hua

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
samjhe the 'mīr' ham ki ye nāsūr kam huā
phir un dinoñ maiñ dīda-e-ḳhūñ-bār nam huā
aa.e ba-rañg-e-abr araq-nāk tum udhar
hairān huuñ ki aaj kidhar ko karam huā
tujh bin sharāb pī ke muue sab tire ḳharāb
saaqī baġhair tere unheñ jām-e-sam huā
kāfir hamāre dil kī na pūchh apne ishq meñ
bait-ul-harām thā so vo bait-us-sanam huā
ḳhāna-ḳharāb kis kā kiyā terī chashm ne
thā kaun yuuñ jise tū nasīb ek dam huā
talvār kis ke ḳhuun meñ sar Duub hai tirī
ye kis ajal-rsīda ke ghar par sitam huā
aa.ī nazar jo gor sulaimāñ kī ek roz
kūche par us mazār ke thā ye raqam huā
kā-e-sar-kashāñ jahān meñ khīñchā thā meñ bhī sar
pāyān-e-kār mor kī ḳhāk-e-qadam huā
afsos kī bhī chashm thī un se ḳhilāf-e-aql
bār-e-ilāqa se to abas pusht-e-ḳham huā
ahl-e-jahāñ haiñ saare tire jīte-jī talak
pūchheñge bhī na baat jahāñ to adam huā
kyā kyā aziiz dost mile 'mīr' ḳhaak meñ
nādān yaañ kaso kā kaso ko bhī ġham huā
Top Urdushayar.com