kahte haiñ bahār aa.ī gul phuul nikalte haiñ
ham kunj-e-qafas meñ haiñ dil sīnoñ meñ jalte haiñ
ab ek sī be-hoshī rahtī nahīñ hai ham ko
kuchh dil bhī sambhalte haiñ par der sambhalte haiñ
vo to nahīñ ik chhīñTā rone kā huā gaahe
ab dīda-e-tar aksar dariyā se ubalte haiñ
un paañv ko āñkhoñ se ham malte rahe jaisā
afsos se hāthoñ ko ab vaisā hī malte haiñ
kyā kahiye ki a.azā sab paanī hue haiñ apne
ham ātish-e-hijrāñ meñ yuuñ hī paḌe galte haiñ
karte haiñ sifat jab ham lāl-e-lab-e-jānāñ kī
tab koī hameñ dekhe kyā la.al ugalte haiñ
gul phuul se bhī apne dil to nahīñ lagte Tuk
jī logoñ ke be-jānāñ kis taur bahalte haiñ
haiñ narm sanam go na kahne ke ta.iiñ varna
patthar haiñ unhoñ ke dil kaahe ko pighalte haiñ
ai garm-e-safar yārāñ jo hai so sar-e-rah hai
jo rah sako rah jaao ab 'mīr' bhī chalte haiñ