palkoñ pe the pāra-e-jigar raat
ham āñkhoñ meñ le ga.e basar raat
ik din to vafā bhī karte va.ada
guzrī hai umīd-vār har raat
mukhḌe se uThā.īñ un ne zulfeñ
jaanā bhī na ham ga.ī kidhar raat
tū paas nahīñ huā to rote
rah rah ga.ī hai pahar pahar raat
kyā din the ki ḳhuun thā jigar meñ
ro uThte the baiTh dopahar raat
vaañ tum to banāte hī rahe zulf
āshiq kī bhī yaañ ga.ī guzar raat
saaqī ke jo aane kī ḳhabar thī
guzrī hameñ saarī be-ḳhabar raat
kyā soz-e-jigar kahūñ maiñ hamdam
aayā jo suḳhan zabān par raat
sohbat ye rahī ki sham-ravī
le shaam se tā-dam-e-sahar raat
khultī hai jab aañkh shab ko tujh bin
kaTtī nahīñ aatī phir nazar raat
din vasl kā yuuñ kaTā kahe tū
kaaTī hai judā.ī kī magar raat
kal thī shab-e-vasl ik adā par
us kī ga.e hote ham tū mar raat
jaage the hamāre baḳht-e-ḳhufta
pahuñchā thā baham vo apne ghar raat
karne lagā pusht-e-chashm-e-nāzuk
sote se uThā jo chauñk kar raat
thī sub.h jo muñh ko khol detā
har-chand ki tab thī ik pahar raat
par zulfoñ meñ muñh chhapā ke pūchhā
ab hovegī 'mīr' kis qadar raat