Meer Taqi Meer

falak ne gar kiya ruKHsat mujhe sair-e-bayaban ko

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
falak ne gar kiyā ruḳhsat mujhe sair-e-bayābāñ ko
nikālā sar se mere jaa.e mū ḳhār-e-muġhīlāñ ko
vo zālim bhī to samjhe kah rakhā hai ham ne yārāñ ko
ki goristān se gāḌeñ judā ham ahl-e-hijrāñ ko
nahīñ ye bed-e-majnūñ gardish-e-gardūn-e-gardāñ ne
banāyā hai shajar kyā jāniye kis mū pareshāñ ko
hue the jaise mar jaate par ab to saḳht hasrat hai
kiyā dushvār nādānī se ham ne kār-e-āsāñ ko
kahīñ nasl aadmī kī uTh na jaave is zamāne meñ
ki motī āb-e-haivāñ jānte haiñ āb-e-insāñ ko
tujhe gir chashm-e-ibrat hai to āñdhī aur bagūle se
tamāshā kar ġhubār-afshānī ḳhāk-e-azīzāñ ko
libās-e-mard-e-maidāñ jauhar-e-zātī kifāyat hai
nahīñ piro.e poshish ma.arke meñ teġh-e-uryāñ ko
havā-e-abr meñ garmī nahīñ jo tū na ho saaqī
dam afsurda kar de munjamid rashhāt-e-bārāñ ko
jaleñ haiñ kab kī mizhgāñ āñsuoñ kī garm-joshī se
us āb-e-chashm kī joshish ne ātish dī nīstāñ ko
vo kāfir ishq kā hai dil ki merī bhī rag-e-jāñ tak
sadā zunnār hī tasbīh hai us nā-musalmāñ ko
ġhurūr-e-nāz se āñkheñ na kholīñ is jafā-jū ne
milā paañv tale jab tak na chashm-e-sad-ġhazālāñ ko
na sī chashm-e-tama ḳhvān-e-falak par ḳhām-dastī se
ki jām-e-ḳhūn de hai har sahar ye apne mehmāñ ko
zi-bas sirf junūñ mere huā aahan ajab mat kar
na ho gar halqa-e-dar ḳhāna-e-zanjīr-sāzāñ ko
bane nā-vāqif-e-shādī agar ham bazm-e-ishrat meñ
dahān-e-zaḳhm-e-dil samjhe jo dekhā rū-e-ḳhandāñ ko
nahīñ reg-e-ravāñ majnūñ ke dil kī be-qarārī ne
kiyā hai muztarib har zarra-e-gard-e-bayābāñ ko
kisī ke vāste rusvā-e-ālam ho pe jī meñ rakh
ki maarā jaa.e jo zāhir kare us rāz-e-pinhāñ ko
girī paḌtī hai bijlī hī tabhī se ḳhirman gul par
Tak ik hans mere rone par ki dekhe tere dandāñ ko
ġhurūr-e-nāz-e-qātil ko liye jā hai koī pūchhe
chalā to sauñp kar kis ke ta.iiñ us said-e-be-jāñ ko
vo tuḳhm-e-soḳhta the ham ki sar-sabzī na kī hāsil
milāyā ḳhaak meñ daana namat hasrat se dahqāñ ko
huā huuñ ġhuncha-e-pazhmurda āḳhir fasl kā tujh bin
na de barbād hasrat kusta-e-sar-dar-garebāñ ko
ġham-o-andoh-o-be-tābī alam be-tāqatī hirmāñ
kahūñ ai ham-nashīñ tā-chand ġham-hā-e-firāvāñ ko
gul-o-sarv-o-saman gir jā.eñge mat sair-e-gulshan kar
milā mat ḳhaak meñ un baaġh ke rā.anā javānāñ ko
bahut ro.e jo ham ye āstīñ rakh muñh pe ai bijlī
na chashm-e-kam se dekh us yādgār-e-chashm-e-giryāñ ko
mizāj us vaqt hai ik matla-e-tāza pe kuchh maa.il
ki be-fikr suḳhan bantī nahīñ hargiz suḳhan-dāñ ko
Top Urdushayar.com