taḌapnā bhī dekhā na bismil kā apne
maiñ kushta huuñ andāz-e-qātil kā apne
na pūchho ki ahvāl nā-gufta-bah hai
musībat ke maare hue dil kā apne
dil-e-zaḳhm-ḳhurda ke aur ik lagā.ī
mudāvā kyā ḳhuub ghāyal kā apne
jo ḳhosha thā sad ḳhirman-e-barq thā yaañ
jalāyā huā huuñ maiñ hāsil kā apne
Tak abrū ko merī taraf kiije maa.il
kabhū dil bhī rakh liije maa.il kā apne
huā daftar-e-qais āḳhir abhī yaañ
suḳhan hai junūñ ke avā.el kā apne
banā.eñ rakheñ maiñ ne aalam meñ kyā kyā
huuñ banda ḳhayālāt bātil kā apne
maqām-e-fanā vāqiye meñ jo dekhā
asar bhī na thā gor manzil kā apne