dil par ḳhuuñ hai yahāñ tujh ko gumāñ hai shīsha
shaiḳh kyuuñ mast huā hai to kahāñ hai shīsha
shīsha-bāzī to tanik dekhne aa āñkhoñ kī
har palak par mire ashkoñ se ravāñ hai shīsha
rū-safedī hai naqāb-e-ruḳh shor-e-mastī
rīsh-e-qāzī ke sabab pamba-dahāñ hai shīsha
manzil-e-mastī ko pahuñche hai unheñ se aalam
nisha-e-mai-balad va sañg-e-nishāñ hai shīsha
darmiyāñ halqa-e-mastāñ ke shab us kī jā thī
daur-e-sāġhar meñ magar pīr-e-muġhāñ hai shīsha
jā ke pūchhā jo maiñ ye kār-gah-e-mīnā meñ
dil kī sūrat kā bhī ai shīsha-garāñ hai shīsha
kahne laage ki kidhar phirtā hai bahkā ai mast
har tarah kā jo tū dekhe hai ki yaañ hai shīsha
dil hī saare the pe ik vaqt meñ jo kar ke gudāz
shakl shīshe kī banā.e haiñ kahāñ hai shīsha
jhuk gayā dekh ke maiñ 'mīr' use majlis meñ
chashm-e-bad-dūr trahdār javāñ hai shīsha