laḌ ke phir aa.e Dar ga.e shāyad
bigḌe the kuchh sañvar ga.e shāyad
sab pareshāñ dilī meñ shab guzrī
baal us ke bikhar ga.e shāyad
kuchh ḳhabar hotī to na hotī ḳhabar
sūfiyāñ be-ḳhabar ga.e shāyad
haiñ makān o sarā o jā ḳhālī
yaar sab kuuch kar ga.e shāyad
aañkh ā.īna-rū chhupāte haiñ
dil ko le kar mukar ga.e shāyad
lohū āñkhoñ meñ ab nahīñ aatā
zaḳhm ab dil ke bhar ga.e shāyad
ab kahīñ jañgaloñ meñ milte nahīñ
hazrat-e-ḳhizr mar ga.e shāyad
be-kalī bhī qafas meñ hai dushvār
kaam se baal o par ga.e shāyad
shor bāzār se nahīñ uThtā
raat ko 'mīr' ghar ga.e shāyad