Meer Taqi Meer

KHub the we din ki hum tere giraftaron mein the

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
ḳhuub the ve din ki ham tere giraftāroñ meñ the
ġham-zadoñ andoh-gīnoñ zulm ke māroñ meñ the
dushmanī jaanī hai ab to ham se ġhairoñ ke liye
ik samāñ sā ho gayā vo bhī ki ham yāroñ meñ the
mat tabaḳhtūr se guzar qumrī hamārī ḳhaak par
ham bhī ik sarv-e-ravāñ ke nāz-bardāroñ meñ the
mar ga.e lekin na dekhā tū ne ūdhar aañkh uThā
aah kyā kyā log zālim tere bīmāroñ meñ the
shaiḳh-jī mindīl kuchh bigḌī sī hai kyā aap bhī
rindoñ bāñkoñ mai-kashoñ āshufta dastāroñ meñ the
garche jurm-e-ishq ġhairoñ par bhī sābit thā vale
qatl karnā thā hameñ ham hī gunahgāroñ meñ the
ik rahā mizhgāñ kī saf meñ ek ke TukḌe hue
dil jigar jo 'mīr' donoñ apne ġham-ḳhvāroñ meñ the
Top Urdushayar.com