Meer Taqi Meer

guzra bana-e-charKH se nala pagah ka

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
guzrā banā-e-charḳh se naala pagāh kā
ḳhāna-ḳharāb ho jiyo is dil kī chaah kā
āñkhoñ meñ jī mirā hai udhar dekhtā nahīñ
martā huuñ meñ to haa.e re sarfa nigāh kā
sad ḳhānumāñ-ḳharāb haiñ har har qadam pe dafan
kushta huuñ yaar maiñ to tire ghar kī raah kā
yak qatra ḳhuun ho ke palak se Tapak paḌā
qissa ye kuchh huā dil ġhufrāñ-panāh kā
talvār mārnā to tumheñ khel hai vale
jaatā rahe na jaan kaso be-gunāh kā
bad-nām-o-ḳhvar-o-zār-o-nazār-o-shikasta-hāl
ahvāl kuchh na pochhiye us rū-siyāh kā
zālim zamīñ se lauTtā dāman uThā ke chal
hogā kamīñ meñ haath kaso dād-ḳhvāh kā
ai tāj-e-shah na sar ko farv lā.ūñ tere paas
hai mo'taqid faqīr namad kī kulāh kā
har laḳht-e-dil meñ said ke paikān bhī ga.e
dekhā maiñ shoḳh ThāTh tirī said-e-gāh kā
bīmār tū na hove jiye jab talak ki 'mīr'
sone na degā shor tirī aah aah kā
Top Urdushayar.com