Meer Taqi Meer

ghair ne hum ko zabh kiya nai taqat hai nai yara hai

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
ġhair ne ham ko zab.h kiyā nai tāqat hai nai yaarā hai
is kutte ne kar ke dilerī said-e-haram ko maarā hai
baaġh ko tujh bin apne bhā.eñ ātish dī hai bahārāñ ne
har ġhuncha aḳhgar hai ham ko har gul ek añgārā hai
jab tujh bin lagtā hai taḌapne jaa.e hai niklā hāthoñ se
hai jo girah siine meñ us ko dil kahiye yā paara hai
rāh-e-hadīs jo Tak bhī nikle kaun sikhā.e ham ko phir
rū-e-suḳhan par kis ko de vo shoḳh baḌā ayyāra hai
kaam us kā hai ḳhūñ-afshānī har-dam terī furqat meñ
chashm ko merī aa kar dekh ab lohū kā favvāra hai
baal khule vo shab ko shāyad bistar naaz pe sotā thā
aa.ī nasīm-e-sub.h jo idhar phailā ambar saarā hai
kis din dāman khīñch ke un ne yaar se apnā kaam liyā
muddat guzrī dekhte ham ko 'mīr' bhī ik nākāra hai
Top Urdushayar.com