fikr hai maah ke jo shahr-badar karne kī
hai sazā tujh pe ye gustāḳh nazar karne kī
kah hadīs aane kī us ke jo kiyā shādī marg
nāma-bar kyā chalī thī ham ko ḳhabar karne kī
kyā jalī jaatī hai ḳhūbī hī meñ apnī ai sham.a
kah patañge ke bhī kuchh shām-o-sahar karne kī
ab ke barsāt hī ke zimme thā aalam kā vabāl
maiñ to khaa.ī thī qasam chashm ke tar karne kī
phuul kuchh lete na nikle the dil-e-sad-pāra
tarz sīkhī hai mire TukḌe jigar karne kī
un dinoñ nikle hai āġhushta ba-ḳhūñ rātoñ ko
dhun hai naale ko kaso dil meñ asar karne kī
ishq meñ tere guzartī nahīñ bin sar paTke
sūrat ik ye rahī hai umr basar karne kī
kārvānī hai jahāñ umr aziiz apnī 'mīr'
rah hai darpesh sadā us ko safar karne kī