kyā tarah hai āshnā gāhe-gahe nā-āshnā
yā to begāne hī rahiye hojiye yā āshnā
pā.emāl-e-sad-jafā nā-haq na ho ai andalīb
sabza-e-begāna bhī thā is chaman kā āshnā
kaun se ye bahr-e-ḳhūbī kī pareshāñ zulf hai
aatī hai āñkhoñ meñ merī mauj dariyā-āshnā
ronā hī aatā hai ham ko dil huā jab se judā
jaa.e rone hī kī hai jaave jab aisā āshnā
nā-samajh hai to jo merī qadar na.iiñ kartā ki shoḳh
kam bahut miltā hai phir dil-ḳhvāh itnā āshnā
bulbuleñ pā.īz meñ kahtī thiiñ hotā kāshke
yak mizha rañg farārī is chaman kā āshnā
ko gul-o-lāla kahāñ sumbul saman ham-nastaran
ḳhaak se yaksāñ hue haiñ haa.e kyā kyā āshnā
kyā karūñ kis se kahūñ itnā hī begāna hai yaar
saare aalam meñ nahīñ paate kisī kā āshnā
jis se maiñ chāhī visātat un ne ye mujh se kahā
ham to kahte gar miyāñ ham se vo hotā āshnā
yuuñ sunā jā hai ki kartā hai safar kā azm-jazm
saath ab begāna vaz.oñ ke hamārā āshnā
sher 'sā.ib' kā munāsib hai hamārī or se
sāmne us ke paḌhe gar ye koī jā āshnā
tā-ba-jāñ mā ham-rahīm va tā-ba-manzil dīgarāñ
farq bāshad jān-e-mā az-āshnā tā-āshnā
daaġh hai tābāñ alaihir-rahma kā chhātī pe 'mīr'
ho najāt us ko bechārā ham se bhī thā āshnā