Meer Taqi Meer

suna hai haal tere kushtagan bechaaron ka

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
sunā hai haal tire kushtagāñ bechāroñ kā
huā na gor gaḌhā un sitam ke māroñ kā
hazār rañg khile gul chaman ke haiñ shāhid
ki rozgār ke sar ḳhuun hai hazāroñ kā
milā hai ḳhaak meñ kis kis tarah kā aalam yaañ
nikal ke shahr se Tak sair kar mazāroñ kā
araq-fishānī se us zulf kī hirāsāñ huuñ
bhalā nahīñ hai bahut TūTnā bhī tāroñ kā
ilaaj karte haiñ saudā-e-ishq kā mere
ḳhalal-pazīr huā hai dimāġh yāroñ kā
tirī hī zulf ko mahshar meñ ham dikhā deñge
jo koī māñgegā naama siyāhkāroñ kā
ḳharāsh-e-sīna-e-āshiq bhī dil ko lag jaa.e
ajab tarah kā hai firqa ye dil-figāroñ kā
nigāh-e-mast ke maare tirī ḳharāb haiñ shoḳh
na Thor hai na Thikānā hai hoshyāroñ kā
kareñ haiñ da.avā ḳhush-chashmī-e-āhūvān-e-dast
Tak ek dekhne chal malak un gañvāroñ kā
taḌap ke marne se dil ke ki maġhfirat ho use
jahāñ meñ kuchh to rahā naam be-qarāroñ kā
taḌap ke ḳhirman-e-gul par kabhī gir ai bijlī
jalānā kiyā hai mire āshiyāñ ke ḳhāroñ kā
tumheñ to zohd-o-vara.a par bahut hai apne ġhurūr
ḳhudā hai shaiḳh-jī ham bhī gunāhgāroñ kā
uThe hai gard kī jā naala gor se is kī
ġhubār-e-'mīr' bhī āshiq hai ne savāroñ kā
Top Urdushayar.com