koī huā na rū-kash Tak merī chashm-e-tar se
kyā kyā na abr aa kar yaañ zor zor barse
vahshat se merī yaaro ḳhātir na jam.a rakhiyo
phir aave yā na aave nau pur uThā jo ghar se
ab juuñ sarishk un se phirne kī chashm mat rakh
jo ḳhaak meñ mile haiñ gir kar tirī nazar se
dīdār ḳhvāh us ke kam hoñ to shor kam ho
har sub.h ik qayāmat uThtī hai us ke dar se
daaġh ek ho jilā bhī ḳhuuñ ek ho bahā bhī
ab bahs kyā hai dil se kyā guftugū jigar se
dil kis tarah na khīñcheñ ash.ār reḳhte ke
behtar kyā hai maiñ ne us aib ko hunar se
anjām-e-kār bulbul dekhā ham apnī āñkhoñ
āvāra the chaman meñ do chaar TuuTe par se
be-tāqatī ne dil kī āḳhir ko maar rakhā
aafat hamāre jī kī aa.ī hamāre ghar se
dilkash ye manzil āḳhir dekhā to aah niklī
sab yaar jā chuke the aa.e jo ham safar se
āvāra 'mīr' shāyad vaañ ḳhaak ho gayā hai
yak gard uTh chale hai gaah us kī rahguzar se