Meer Taqi Meer

dil-o-dimagh hai ab kis ko zindagani ka

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
dil-o-dimāġh hai ab kis ko zindagānī kā
jo koī dam hai to afsos hai javānī kā
agarche umr ke das din ye lab rahe ḳhāmosh
suḳhan rahegā sadā merī kam-zabānī kā
subuk hai aave jo mindīl rakh namāz ko shaiḳh
rahā hai kaun sā ab vaqt sargirānī kā
hazār jaan se qurbān be-parī ke haiñ
ḳhayāl bhī kabhū guzrā na par-fishānī kā
phire hai khīñche hī talvār mujh pe har-dam to
ki said huuñ maiñ tirī dushmanī jaanī kā
numūd kar ke vahīñ bahr-e-ġham meñ baiTh gayā
kahe to 'mīr' bhī ik bulbulā thā paanī kā
Top Urdushayar.com