vo dekhne hameñ Tuk bīmārī meñ na aayā
sau baar āñkheñ kholīñ bālīñ se sar uThāyā
gulshan ke tā.eroñ ne kyā be-muravvatī kī
yak barg-e-gul qafas meñ ham tak na koī laayā
be-hech us kā ġhussa yaaro balā-e-jāñ hai
hargiz manā na ham se bahterā hī manāyā
qadd-e-buland agarche be-lutf bhī nahīñ hai
sarv-e-chaman meñ lekin andāza vo na paayā
naqsha ajab hai us kā naqqāsh ne azal ke
matbū aisā chehra koī na phir banāyā
shab ko nashe meñ bāham thī guftugū-e-darham
us mast ne jhañkāyā yaanī bahut jhukāyā
dil-bastagī meñ khulnā us kā na us se dekhā
baḳht-e-nigūñ ko ham ne sau baar āzmāyā
āshiq jahāñ huā hai be-Dhañgiyāñ hī kī haiñ
is 'mīr'-e-be-ḳhirad ne kab Dhab se dil lagāyā