hijrāñ kī koft khīñche be-dam se ho chale haiñ
sar maar maar ya.anī ab ham bhī so chale haiñ
javīñ raheñgī jaarī gulshan meñ ek muddat
saa.e meñ har shajar ke ham zor ro chale haiñ
labrez ashk āñkheñ har baat meñ rahā kiiñ
ro ro ke kaam apne sab ham Dubo chale haiñ
pachhtā.iye na kyūñkar jī is tarah se de kar
ye gauhar-girāmī ham muft kho chale haiñ
qat.a tarīq mushkil hai ishq kā nihāyat
ve 'mīr' jānte haiñ is raah jo chale haiñ