kyā maiñ bhī pareshānī-e-ḳhātir se qarīñ thā
āñkheñ to kahīñ thiiñ dil-e-ġham-dīda kahīñ thā
kis raat nazar kī hai soī chashmak-e-anjum
āñkhoñ ke tale apne to vo māh-jabīñ thā
aayā to sahī vo koī dam ke liye lekin
hoñToñ pe mire jab nafas bāz-pasīñ thā
ab koft se hijrāñ kī jahāñ tan pe rakhā haath
jo dard-o-alam thā so kahe tū ki vahīñ thā
jaanā nahīñ kuchh juz ġhazal aa kar ke jahāñ meñ
kal mere tasarruf meñ yahī qita-e-zamīñ thā
naam aaj koī yaañ nahīñ letā hai unhoñ kā
jin logoñ ke kal mulk ye sab zer-e-nagīñ thā
masjid meñ imaam aaj huā aa ke vahāñ se
kal tak to yahī 'mīr' ḳharābāt-nashīñ thā