Meer Taqi Meer

ai dost koi mujh sa ruswa na hua hoga

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
ai dost koī mujh sā rusvā na huā hogā
dushman ke bhī dushman par aisā na huā hogā
ab ashk-e-hinā.ī se jo tar na kare mizhgāñ
vo tujh kaf-e-rañgīñ kā maarā na huā hogā
Tak gor-e-ġharībāñ kī kar sair ki duniyā meñ
un zulm-rasīdoñ par kyā kyā na huā hogā
be-nāla-o-be-zārī be-ḳhastagī-o-ḳhvārī
imroz kabhī apnā fardā na huā hogā
hai qā.eda kullī ye kū-e-mohabbat meñ
dil ġham jo huā hogā paidā na huā hogā
is kohna-ḳharābe meñ ābādī na kar mun.im
yak shahr nahīñ yaañ jo sahrā na huā hogā
āñkhoñ se tirī ham ko hai chashm ki ab hove
jo fitna ki duniyā meñ barpā na huā hogā
juz martaba-e-kal ko hāsil kare hai āḳhir
yak qatra na dekhā jo dariyā na huā hogā
sad nashtar-e-mizhgāñ ke lagne se na niklā ḳhuuñ
aage tujhe 'mīr' aisā saudā na huā hogā
Top Urdushayar.com