Meer Taqi Meer

humne jaana tha suKHan honge zaban par kitne

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
ham ne jaanā thā suḳhan hoñge zabāñ par kitne
par qalam haath jo aa.ī likhe daftar kitne
maiñ ne is us sannā.a se sar khīñchā hai
ki har ik kūche meñ jis ke the hunar-var kitne
kishvar-e-ishq ko ābād na dekhā ham ne
har galī-kūche meñ uujaḌ paḌe the ghar kitne
aah niklī hai ye kis kī havas sair-e-bahār
aate haiñ baaġh meñ āvāra hue par kitne
dekhiyo panja-e-mizhgāñ kī Tak ātish-dastī
har sahar ḳhaak meñ milte haiñ dar-e-tar kitne
kab talak ye dil sad-pāra nazar meñ rakhiye
us par āñkheñ hī siye rahte haiñ dilbar kitne
umr guzrī ki nahīñ do aadam se koī
jis taraf dekhiye arse meñ haiñ ab ḳhar kitne
tū hai bechāra gadā 'mīr' tirā kiyā mazkūr
mil ga.e ḳhaak meñ yaañ sāhab afsar kitne
Top Urdushayar.com