Meer Taqi Meer

kaisa chaman asiri mein kis ko idhar KHayal

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
kaisā chaman asīrī meñ kis ko idhar ḳhayāl
parvāz ḳhvāb ho ga.ī hai bāl-o-par ḳhayāl
mushkil hai miT ga.e hue naqshoñ kī phir numūd
jo sūrateñ bigaḌ ga.iiñ un kā na kar ḳhayāl
mū ko abas hai taab kalī yuuñ hī tañg hai
us kā dahan hai vahm-o-gumān-o-kamar ḳhayāl
ruḳhsār par hamāre Dhalakne ko ashk ke
dekhe hai jo koī so kare hai guhar ḳhayāl
kis ko dimāġh-e-sher-o-suḳhan zo.af meñ ki 'mīr'
apnā rahe hai ab to hameñ beshtar ḳhayāl
Top Urdushayar.com