Meer Taqi Meer

hanste ho rote dekh kar gham se

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
hañste ho rote dekh kar ġham se
chheḌ rakhī hai tum ne kyā ham se
muñd ga.ī aañkh hai añdherā paak
raushnī hai so yaañ mire dam se
tum jo dil-ḳhvāh ḳhalq ho ham ko
dushmanī hai tamām aalam se
darhamī aa ga.ī mizājoñ meñ
āḳhir un gesuvān-e-dirham se
sab ne jaanā kahīñ ye āshiq hai
bah ga.e ashk dīda-e-nam se
muft yuuñ haath se na kho ham ko
kahīñ paidā bhī hote haiñ ham se
aksar ālāt-e-jaur us se hue
āfateñ aa.iiñ us ke muqaddam se
dekh ve palkeñ barchhiyāñ chaliyāñ
teġh niklī us abrū-e-ḳham se
koī begāna gar nahīñ maujūd
muñh chhupānā ye kyā hai phir ham se
vaj.h parde kī pochhiye baare
maliye us ke kaso jo mahram se
darpai ḳhuun 'mīr' hī na raho
ho bhī jaatā hai jurm aadam se
Top Urdushayar.com