Meer Taqi Meer

har zi-hayat ka hai sabab jo hayat ka

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
har zī-hayāt kā hai sabab jo hayāt kā
nikle hai jī hī us ke liye kā.enāt kā
bikhrī hai zulf us ruḳh-e-ālam-faroz par
varna banāo hove na din aur raat kā
dar-parda vo hī ma.anī muqavvam na hoñ agar
sūrat na pakḌe kaam falak ke sabāt kā
haiñ mustahīl ḳhaak se ajzā-e-nau-ḳhatāñ
kyā sahal hai zamīñ se nikalnā nabāt kā
mustahlak us ke ishq ke jāneñ haiñ qadar-e-marg
īsā-o-ḳhizr ko hai maza kab vafāt kā
ashjār hoveñ ḳhāma-o-āb-e-siyah-behār
likhnā na to bhī ho sake us kī sifāt kā
us ke faroġh-e-husn se jhumke hai sab meñ nuur
sham-e-haram ho yā ki diyā somnāt kā
bizzāt hai jahāñ meñ vo maujūd har jagah
hai diid chashm-e-dil ke khule ain zaat kā
har safhe meñ hai mahv-e-kalām apnā das jagah
mus.haf ko khol dekh Tak andāz baat kā
ham muzniboñ meñ sirf karam se hai guftugū
mazkūr zikr yaañ nahīñ saum-o-salāt kā
kyā 'mīr' tujh ko nāma-syāhī kā fikr hai
ḳhatm-e-rusul sā shaḳhs hai zāmin najāt kā
Top Urdushayar.com