na pūchh ḳhvāb zuleḳhā ne kyā ḳhayāl liyā
ki kārvāñ kā kan.āñ ke jī nikāl liyā
rah-e-talab meñ gire hote sar ke bal ham bhī
shikasta-pā.ī ne apnī hameñ sambhāl liyā
rahūñ huuñ barsoñ se ham dosh par kabhū un ne
gale maiñ haath mirā pyaar se na Daal liyā
butāñ kī 'mīr' sitam vo nigāh hai jis ne
ḳhudā ke vāste bhī ḳhalq kā vabāl liyā