mustujib-e-zulm-o-sitam-o-jaur-o-jafā huuñ
har-chand ki jaltā huuñ pe sargarm-e-vafā huuñ
aate haiñ mujhe ḳhuub se donoñ hunar-e-ishq
rone ke ta.iiñ āñdhī huuñ kuḌhne ko balā huuñ
is gulshan-e-duniyā meñ shagufta na huā maiñ
huuñ ġhuncha-e-afsurda ki mardūd-e-sabā huuñ
ham-chashm hai har ābla-e-pā kā mirā ashk
az-bas ki tirī raah meñ āñkhoñ se chalā huuñ