ye tark ho ke ḳhashin kaj agar kulāh kareñ
to bul-havas na kabhū chashm ko siyāh kareñ
tumheñ bhī chāhiye hai kuchh to paas chāhat kā
ham apnī aur se yuuñ kab talak nibāh kareñ
rakhā hai apne ta.iiñ rok rok kar varna
siyāh kar deñ zamāne ko ham jo aah kareñ
jo us kī aur ko jaanā mile to ham bhī za.iif
hazār sajde har ik gaam sarbarāh kareñ
havā-e-mai-kada ye hai to faut-e-vaqt hai zulm
namāz chhoḌ deñ ab koī din gunāh kareñ
hamesha kaun takalluf hai ḳhūb-rūyoñ kā
guzār naaz se īdhar bhī gaah gaah kareñ
agar uTheñge isī haal se to kahiyo tū
jo roz-e-hashr tujhī ko na uzr-ḳhvāh kareñ
burī balā haiñ sitam-kushta-e-mohabbat ham
jo teġh barse to sar ko na kuchh panāh kareñ
agarche sahal haiñ par dīdanī haiñ ham bhī 'mīr'
udhar ko yaar ta.ammul se gar nigāh kareñ