Meer Taqi Meer

talwar gharq-e-KHun hai aankhen gulabiyan hain

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
talvār ġharq-e-ḳhūñ hai āñkheñ gulābiyāñ haiñ
dekheñ to terī kab tak ye bad-sharābiyāñ haiñ
jab le naqāb muñh par tab diid kar ki kyā kyā
dar-parda shoḳhiyāñ haiñ phir be-hijābiyāñ haiñ
chāhe hai aaj huuñ maiñ haft-āsmāñ ke uupar
dil ke mizāj meñ bhī kitnī shitābiyāñ haiñ
jī bikhre dil Dhahe hai sar bhī girā paḌe hai
ḳhāna-ḳharāb tujh bin kyā kyā ḳharābiyāñ haiñ
mehmān 'mīr' mat ho ḳhvān-e-falak pe hargiz
ḳhālī ye mehr-o-mah kī donoñ rikābiyāñ haiñ
Top Urdushayar.com