qayāmat haiñ ye chaspāñ jaame vaale
guloñ ne jin kī ḳhātir ḳhirqe Daale
vo kaalā chor hai ḳhāl-e-ruḳh-e-yār
ki sau āñkhoñ meñ dil ho to churā le
nahīñ uThtā dil-e-mahzūñ kā mātam
ḳhudā hī is musībat se nikāle
kahāñ tak duur baiThe baiThe kahiye
kabhū to paas ham ko bhī bulā le
dilā baazī na kar un gesuoñ se
nahīñ āsāñ khilāne saañp kaale
tapish ne dil jigar kī maar Daalā
baġhal meñ dushman apne ham ne paale
na mahke bū-e-gul ai kaash yak-chand
abhī zaḳhm-e-jigar saare haiñ aale
kise qaid-e-qafas meñ yaad gul kī
paḌe haiñ ab to jiine hī ke laale
satāyā 'mīr' ġham-kash ko kinhoñ ne
ki phir ab arsh tak jaate haiñ naale