ai gul-e-nau-damīda ke mānind
hai tū kis āfrīda ke mānind
ham ummīd-e-vafā pe terī hue
ġhuncha-e-dair chīda ke mānind
ḳhaak ko merī sair kar ke phirā
vo ġhazāl-e-ramīda ke mānind
sar uThāte hī ho ga.e pāmāl
sabza-e-nau-damīda ke mānind
na kaTe raat hijr kī jo na ho
naala teġh-e-kashīda ke mānind
ham giraftār-e-hāl haiñ apne
tā.ir-e-par-burīda ke mānind
dil taḌaptā hai ashk-e-ḳhūnīñ meñ
said-e-dar-ḳhūñ tapīda ke mānind
tujh se yūsuf ko kyūñke nisbat deñ
kab shunīda ho diida ke mānind
'mīr'-sāhib bhī us ke haañ the lek
banda-e-zar ḳharīda ke mānind