jab ham-kalām ham se hotā hai paan khā kar
kis rañg se kare hai bāteñ chabā chabā kar
thī jumlā-tan latāfat aalam meñ jaañ ke ham to
miTTī meñ aT ga.e haiñ is ḳhāk-dāñ meñ aa kar
sa.ī o talab bahut kī matlab ke ta.iiñ na pahuñche
nā-chār ab jahāñ se baiThe haiñ haath uThā kar
ġhairat ye thī ki aayā us se jo maiñ ḳhafā ho
marte muā pe hargiz ūdhar phirā na jā kar
qudrat ḳhudā kī sab meñ ḳhal.ul-īzār aao
baiTho jo mujh kane to parde meñ muñh chhupā kar
armān hai jinhoñ ko ve ab kareñ mohabbat
ham to hue pashīmāñ dil ke ta.iiñ lagā kar
maiñ 'mīr' tark le kar duniyā se haath uThāyā
darvesh tū bhī to hai haq meñ mire duā kar