Meer Taqi Meer

jin ke liye apne to yun jaan nikalte hain

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810

jin ke liye apne to yuuñ jaan nikalte haiñ

is raah meñ ve jaise anjān nikalte haiñ

kyā tīr-e-sitam us ke siine meñ bhī TuuTe the

jis zaḳhm ko chīrūñ huuñ paikān nikalte haiñ

mat sahl hameñ jaano phirtā hai falak barsoñ

tab ḳhaak ke parde se insān nikalte haiñ

kis hai qimāsh aisā gūdaḌ bhare haiñ saare

dekho na jo logoñ ke dīvān nikalte haiñ

gah lohū Tapaktā hai gah laḳht-e-dil āñkhoñ se

TukḌe jigar ke har aan nikalte haiñ

kariye to gila kis se jaisī thī hameñ ḳhvāhish

ab vaise ye apne armān nikalte haiñ

jāgah se bhī jaate ho muñh se bhī ḳhashin ho kar

ve harf nahīñ haiñ jo shāyān nikalte haiñ

so kaahe ko apnī jogī pherī hai

barsoñ meñ kabhū īdhar ham aan nikalte haiñ

un ā.īna-rūyoñ ke kyā 'mīr' bhī āshiq haiñ

jab ghar se nikalte haiñ hairān nikalte haiñ

Top Urdushayar.com