Meer Taqi Meer

hum hue tum hue ki mir hue

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
ham hue tum hue ki 'mīr' hue
us kī zulfoñ ke sab asiir hue
jin kī ḳhātir kī ustuḳhvāñ-shiknī
so ham un ke nishān-e-tīr hue
nahīñ aate kaso kī āñkhoñ meñ
ho ke āshiq bahut haqīr hue
aage ye be-adā.iyāñ kab thiiñ
in dinoñ tum bahut sharīr hue
apne rote hī rote sahrā ke
goshe goshe meñ āb-gīr hue
aisī hastī adam meñ dāḳhil hai
nai javāñ ham na tifl-e-shīr hue
ek dam thī numūd buud apnī
yā safedī kī yā aḳhīr hue
ya.anī mānind-e-sub.h duniyā meñ
ham jo paidā hue sau piir hue
mat mil ahl-e-duval ke laḌkoñ se
'mīr'-jī un se mil faqīr hue
Top Urdushayar.com