Meer Taqi Meer

dil pahuncha halaki ko nipaT khinch kasala

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
dil pahuñchā halākī ko nipaT khīñch kasālā
le yaar mire sallamahū allāh-ta.ālā
kuchh maiñ nahīñ us dil kī pareshānī kā baa.is
barham hī mire haath lagā thā ye risālā
ma.amūr sharāboñ se kabāboñ se hai sab dair
masjid meñ hai kyā shaiḳh piyāla na nivālā
guzre hai lahū vaañ sar har ḳhaar se ab tak
jis dasht meñ phūTā hai mire paañv kā chhālā
gar qasd udhar kā hai to Tak dekh ke aanā
ye der hai zahād na ho ḳhāna-e-ḳhālā
jis ghar meñ tire jalve se ho chāñdnī kā farsh
vaañ chādar mahtāb hai makḌī kā sā jaalā
dushman na kudūrat se mire sāmne ho jo
talvār ke laḌne ko mire kiijo havāla
nāmūs mujhe saafī tīnat kī hai varna
rustam ne mirī teġh kā hamla na sambhālā
dekhe hai mujhe dīda-e-pur-ḳhashm se vo 'mīr'
mere hī nasīboñ meñ thā ye zahar kā pyālā
Top Urdushayar.com