Meer Taqi Meer

tab-e-dil sarf-e-judai ho chuki

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
tāb-e-dil sarf-e-judā.ī ho chukī
ya.anī tāqat āzmā.ī ho chukī
chhūTtā kab hai asīr-e-ḳhush-zabāñ
jiite jī apnī rihā.ī ho chukī
aage ho masjid ke niklī us kī raah
shaiḳh se ab pārsā.ī ho chukī
darmiyāñ aisā nahīñ ab ā.īna
mere us ke ab safā.ī ho chukī
ek bosa māñgte laḌne lage
itne hī meñ āshnā.ī ho chukī
biich meñ ham hī na hoñ to lutf kyā
rahm kar ab bevafā.ī ho chukī
aaj phir thā be-hamīyat 'mīr' vaañ
kal laḌā.ī sī laḌā.ī ho chukī
Top Urdushayar.com