Meer Taqi Meer

naqqash dekh to main kya naqsh-e-yar khincha

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
naqqāsh dekh to maiñ kyā naqsh-e-yār khīñchā
us shoḳh kam-numā kā nit intizār khīñchā
rasm-e-qalamrav-e-ishq mat pūchh kuchh ki nāhaq
ekoñ kī khaal khīñchī ekoñ ko daar khīñchā
thā bad-sharāb saaqī kitnā ki raat mai se
maiñ ne jo haath khīñchā un ne kaTār khīñchā
mastī meñ shakl saarī naqqāsh se khiñchī par
āñkhoñ ko dekh us kī āḳhir ḳhumār khīñchā
jī khiñch rahe haiñ ūdhar aalam kā hogā balva
gar shāne tū ne us kī zulfoñ kā taar khīñchā
thā shab kise kasā.e teġh-e-kashīda-kaf meñ
par maiñ ne bhī baġhal baġhal be-iḳhtiyār khīñchā
phirtā hai 'mīr' to jo phāḌe hue garebāñ
kis kis sitam-zade ne dāmāñ yaar khīñchā
Top Urdushayar.com