ġham rahā jab tak ki dam meñ dam rahā
dil ke jaane kā nihāyat ġham rahā
husn thā terā bahut ālam-fareb
ḳhat ke aane par bhī ik aalam rahā
dil na pahuñchā gosha-e-dāmāñ talak
qatra-e-ḳhūñ thā mizha par jam rahā
sunte haiñ lailā ke ḳheme ko siyāh
us meñ majnūñ kā magar mātam rahā
jāma-e-ehrām-e-zāhid par na jā
thā haram meñ lek nā-mahram rahā
zulfeñ kholīñ to tū Tuk aayā nazar
umr bhar yaañ kām-e-dil barham rahā
us ke lab se talḳh ham sunte rahe
apne haq meñ āb-e-haivāñ sam rahā
mere rone kī haqīqat jis meñ thī
ek muddat tak vo kāġhaz nam rahā
sub.h-e-pīrī shaam hone aa.ī 'mīr'
tū na chetā yaañ bahut din kam rahā