nahīñ vasvās jī gañvāne ke
haa.e re zauq dil lagāne ke
mere taġh.īr-e-hāl par mat jā
ittifāqāt haiñ zamāne ke
dam-e-āḳhir hī kyā na aanā thā
aur bhī vaqt the bahāne ke
is kudūrat ko ham samajhte haiñ
Dhab haiñ ye ḳhaak meñ milāne ke
bas haiñ do barg-e-gul qafas meñ sabā
nahīñ bhūke ham āb-o-dāne ke
marne par baiThe haiñ suno sāhab
bande haiñ apne jī chalāne ke
ab garebāñ kahāñ ki ai nāseh
chaḌh gayā haath us divāne ke
chashm-e-najam sip.har jhapke hai
sadqe us añkhḌiyāñ laḌāne ke
dil-o-dīñ hosh-o-sabr sab hī ga.e
aage aage tumhāre aane ke
kab tū sotā thā ghar mare aa kar
jaage taalā ġharīb-ḳhāne ke
mizha-e-abrū-nigah se is kī 'mīr'
kushta haiñ apne dil lagāne ke
tīr-o-talvār-o-sail yakjā haiñ
saare asbāb maar jaane ke