makka gayā madīna gayā karbalā gayā
jaisā gayā thā vaisā hī chal phir ke aa gayā
dekhā ho kuchh us āmad-o-shud meñ to maiñ kahūñ
ḳhud gum huā huuñ baat kī tah ab jo pā gayā
kapḌe gale ke mere na hoñ āb-dīda kyuuñ
mānind-e-abr dīda-e-tar ab to chhā gayā
jāñ-soz aah o naala samajhtā nahīñ huuñ maiñ
yak sho.ala mere dil se uThā thā jalā gayā
vo mujh se bhāgtā hī phirā kibr-o-nāz se
juuñ juuñ niyāz kar ke maiñ us se lagā gayā
jor-e-sip.har-e-dūñ se burā haal thā bahut
maiñ sharm-e-nā-kasī se zamīñ meñ samā gayā
dekhā jo raah jaate tabaḳhtūr ke saath use
phir mujh shikasta-pā se na ik-dam rahā gayā
baiThā to boriye ke ta.iiñ sar pe rakh ke 'mīr'
saf kis adab se ham fuqarā kī uThā gayā