Meer Taqi Meer

jab nam tera lijiye tab chashm bhar aawe

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
jab naam tirā lījiye tab chashm bhar aave
is zindagī karne ko kahāñ se jigar aave
talvār kā bhī maarā ḳhudā rakkhe hai zālim
ye to ho koī gor-e-ġharībāñ meñ dar aave
mai-ḳhāna vo manzar hai ki har sub.h jahāñ shaiḳh
dīvār pe ḳhurshīd kā mastī se sar aave
kyā jāneñ ve murġhān-e-giraftār-e-chaman ko
jin tak ki ba-sad-nāz nasīm-e-sahar aave
tū sub.h qadam-ranja kare Tuk to hai varna
kis vāste āshiq kī shab-e-ġham basar aave
har sū sar-e-taslīm rakhe said-e-haram haiñ
vo said-fagan teġh-ba-kaf tā kidhar aave
dīvāroñ se sar mārte phirne kā gayā vaqt
ab tū hī magar aap kabhū dar se dar aave
vaa.iz nahīñ kaifiyyat-e-mai-ḳhāna se āgāh
yak jur.a badal varna ye mindīl dhar aave
sannā.a haiñ sab ḳhvār azaañ jumla huuñ maiñ bhī
hai aib baḌā us meñ jise kuchh hunar aave
ai vo ki tū baiThā hai sar-e-rāh pe zinhār
kahiyo jo kabhū 'mīr' balā-kash idhar aave
mat dasht-e-mohabbat meñ qadam rakh ki ḳhizar ko
har gaam pe is rah meñ safar se hazar aave
Top Urdushayar.com