Meer Taqi Meer

yarab koi ho ishq ka bimar na howe

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
yārab koī ho ishq kā bīmār na hove
mar jaa.e vale us ko ye āzār na hove
zindāñ meñ phañse tauq paḌe qaid meñ mar jaa.e
par dām-e-mohabbat meñ giraftār na hove
us vāste kāñpūñ huuñ ki hai aah nipaT sard
ye baav kaleje ke kahīñ paar na hove
sad nāla-e-jān-kāh haiñ vābasta chaman se
koī baal shikasta pas-e-dīvār na hove
pazhmurda bahut hai gul-e-gulzār hamārā
sharminda-e-yak-gosha-e-dastār na hove
māñge hai duā ḳhalq tujhe dekh ke zālim
yārab kaso ko us se sarokār na hove
kis shakl se ahvāl kahūñ ab maiñ ilāhī
sūrat se mirī jis meñ vo bezār na hove
huuñ dost jo kahtā huuñ sin ai jaan ke dushman
behtar to tujhe tark hai tā-ḳhvār na hove
ḳhūbāñ bure hote haiñ agarche haiñ nakoro
be-jurm kahīñ un kā gunahgār na hove
bāñdhe na phire ḳhuun par apnī to kamar ko
ye jān-e-subuk tan pe tire baar na hove
chaltā hai rah-e-ishq hī us par bhī chale tū
par ek qadam chal kahīñ zinhār na hove
sahrā-e-mohabbat hai qadam dekh ke rakh 'mīr'
ye sair sar-e-kūcha-o-bāzār na hove
Top Urdushayar.com