kar nāla-kashī kab ta.iiñ auqāt guzāreñ
fariyād kareñ kis se kahāñ jā ke pukāreñ
har-dam kā bigaḌnā to kuchh ab chhūTā hai in se
shāyad kisī nākām kā bhī kaam sañvāreñ
dil meñ jo kabhū josh-e-ġham uThtā hai to tā-der
āñkhoñ se chalī jaatī haiñ dariyā kī sī dhāreñ
kyā zulm hai us ḳhūnī-e-ālam kī galī meñ
jab ham ga.e do-chār na.ī dekheñ mazāreñ
jis jā ki ḳhas-o-ḳhār ke ab Dher lage haiñ
yaañ ham ne unheñ āñkhoñ se dekheñ haiñ bahāreñ
kyūñkar ke rahe sharam mirī shahr meñ jab aah
nāmūs kahāñ utreñ jo dariyā pe izāreñ
ve hoñT ki hai shor-e-masīhā.ī kā jin kī
dam leveñ na do-chār ko tā jī se na māreñ
manzūr hai kab se sar-e-shorīda kā denā
chaḌh jaa.e nazar koī to ye bojh utāreñ
bālīñ pe sar ik umr se hai dast-e-talab kā
jo hai so gadā kis kane jā haath pasāreñ
un logoñ ke to gard na phir sab haiñ libāsī
sau gaz bhī jo ye phāḌeñ to ik gaz bhī na vāreñ
nā-chār ho ruḳhsat jo mañgā bhejī to bolā
maiñ kyā karūñ jo 'mīr'-jī jaate haiñ sudhāreñ