dekh to dil ki jaañ se uThtā hai
ye dhuāñ sā kahāñ se uThtā hai
gor kis diljale kī hai ye falak
shola ik sub.h yaañ se uThtā hai
ḳhāna-e-dil se zīnhār na jā
koī aise makāñ se uThtā hai
naala sar khīñchtā hai jab merā
shor ik āsmāñ se uThtā hai
laḌtī hai us kī chashm-e-shoḳh jahāñ
ek āshob vaañ se uThtā hai
sudh le ghar kī bhī shola-e-āvāz
duud kuchh āshiyāñ se uThtā hai
baiThne kaun de hai phir us ko
jo tire āstāñ se uThtā hai
yuuñ uThe aah us galī se ham
jaise koī jahāñ se uThtā hai
ishq ik 'mīr' bhārī patthar hai
kab ye tujh nā-tavāñ se uThtā hai