Sabir Zafar

dobara hone lage manzaron mein manzar gum

Sabir Zafar

1949
dobāra hone lage manzaroñ meñ manzar gum
kahāñ hai tū ki hai maujūd gum mayassar gum
ajal-girafta haiñ ham aa idhar rudālī aa
jo nauhagar the hamāre hue vo yaksar gum
na jal-parī hī vo aa.ī na bādbān khulā
aur apne-āp meñ dekhā gayā samundar gum
maiñ tere dhyān ke dāman ko thaam kar niklā
vagarna dekhā gayā ḳhizr gum sikandar gum
ye kaun le gayā paanī hamārī jhīloñ se
parinde DhūñD rahe haiñ kahāñ hai kīnjhar gum
Top Urdushayar.com