Saqib Lakhnavi

mera dil dad-KHwah-e-zulm aslan ho nahin sakta

Saqib Lakhnavi

Agra, Uttar pradesh, India

1869-1946
mirā dil dād-ḳhvāh-e-zulm aslan ho nahīñ saktā
muravvat muñh ko sī detī hai shikvā ho nahīñ saktā
chhupāo aap ko jis rañg yā jis bhes meñ chāho
magar chashm-e-haqīqat-bīñ se pardā ho nahīñ saktā
tamāshā-gāh-e-hairat hai dayār-e-dil kī vīrānī
ye sannāTā miyān-e-dasht-o-sahrā ho nahīñ saktā
baḌhā ek aur ġham ifshā-e-rāz-e-ishq se varna
na maiñ khultā na vo kahte ki aisā ho nahīñ saktā
mire zulmat-kade meñ roz-e-raushan kā guzar kaisā
salāmat hai shab-e-ġham to ujālā ho nahīñ saktā
dam-e-ahd-o-vafā Thahrā na un ke sāmne koī
sivā mere to maiñ kis dil se kahtā ho nahīñ saktā
kabhī kaj-tab.a ko dekhā na sīdhī raah par aate
jo hai dar-asl bad-bātin vo achchhā ho nahīñ saktā
na hoñ sañg-e-dar-e-mai-ḳhāna ahl-e-zohd ai 'sāqib'
ki maiñ pāband-e-rasm-o-rāh-e-taqvā ho nahīñ saktā
Top Urdushayar.com