Saqib Lakhnavi

KHun kis kis ka hua sadqe teri talwar par

Saqib Lakhnavi

Agra, Uttar pradesh, India

1869-1946
ḳhuun kis kis kā huā sadqe tirī talvār par
fasl-e-gul dhabbe haiñ lākhoñ dāman-e-gulzār par
ab rahā dil tā-qayāmat abrū-e-ḳham-dār par
kyā haTegā vo jo gardan rakh chukā talvār par
fasl-e-gul ruḳhsat huī ro lījiye gulzār par
bas yahī do-tīn pañkhuḌiyāñ haiñ yā do-chār par
vasl-e-furqat kī shabeñ donoñ meñ niiñd aatī nahīñ
hañs rahā huuñ ro rahā huuñ tāla-e-bedār par
intihā par ishq aa kar ho gayā hai ain husn
maut kī bhī aañkh paḌtī hai tire bīmār par
vasl se māyūs ho kar kaam merā ban gayā
saikḌoñ iqrār sadqe ho ga.e inkār par
maiñ nahīñ lākhoñ paḌe haiñ muḌ ke pīchhe dekhiye
naqsh-e-pā ġhash khā ga.e haiñ shoḳhi-e-raftār par
daaġh vāloñ ke nasheman shab ko bhī chhupte nahīñ
dhuup sī phailī huī hai baaġh kī dīvār par
gardaneñ vo ḳham kiye haiñ jin ke sar haiñ bār-e-ḳhūñ
tū agar ḳhud-bīñ nahīñ Daal ik nazar talvār par
ashk-rezān-e-chaman se ḳhanda-e-gul dab gayā
os paḌtī hai na.ī har shab sar-e-gulzār par
ek ik rag de rahī hai lau vufūr-e-soz se
naaz hai 'sāqib' ko apne ḳhil.at-e-zar-tār par
Top Urdushayar.com