Saqib Lakhnavi

kaun in lakhon adaon mein mujhe pyari nahin

Saqib Lakhnavi

Agra, Uttar pradesh, India

1869-1946
kaun in lākhoñ adāoñ meñ mujhe pyārī nahīñ
naam luuñ kis kis kā mujh ko ek bīmārī nahīñ
aag kitnī le ke niklā thā mirā dūd-e-jigar
vo fazā hai kaun jis meñ koī chiñgārī nahīñ
yaas se kyuuñ dekhte haiñ dost ai āzār-e-dil
pūchhte haiñ kyā mujhe to koī bīmārī nahīñ
haath rakh kar ik zarā dekho tap-e-ġham kā asar
ye tumhārā hī jalāyā dil hai chiñgārī nahīñ
dil ne rag rag se chhupā rakkhā hai terā rāz-e-ishq
jis ko kah de nabz aisī merī bīmārī nahīñ
qaid ho kar maiñ ne kholī ham-safīroñ kī zabāñ
kis gulistāñ meñ mirā zikr-e-giraftārī nahīñ
Top Urdushayar.com