Salahuddin Nadeem

milta nahin koi bhi KHaridar ishq mein

Salahuddin Nadeem

miltā nahīñ koī bhī ḳharīdār ishq meñ
rusvā hue haiñ bar-sar-e-bāzār ishq meñ
manzil milī na mahala-e-dil hī tai huā
dasht-e-junūñ ko jāniye dīvār-e-ishq meñ
us nāfa-e-nigāh se pāgal hue to kyā
zanjīr hai ye dard kā āzād ishq meñ
ab tak tire ḳhayāl se namnāk hai ye aañkh
sarf is qadar huā huuñ gunahgār ishq meñ
fariyād kar rahā huuñ judā.ī ke dasht meñ
koī nahīñ sharīk-e-ġham-e-yār ishq meñ
maiñ kunj-e-āfiyat meñ rahā umr-bhar magar
ḳhud se huā huuñ bar-sar-e-paikār ishq meñ
haath aa ga.ī kalīd-e-tilism-e-nigāh kyā
khulne lage haiñ husn ke asrār-e-ishq meñ
hairāniyoñ ke zaḳhm kā marham kahāñ 'nadīm'
dil sehr-e-dard se huā bedār ishq meñ
Top Urdushayar.com