ojhal huuñ nigāhoñ se magar dil meñ paḌe ho
lailā kī tarah kaun se mahmil meñ paḌe ho
dar-parda sahī sehr-e-nazāra ke asar se
sau tarah se tum dīda-e-ġhāfil meñ paḌe ho
khulne lage asrār-e-vafā dīda-o-dil par
jis din se ġham-e-hijr kī mushkil meñ paḌe ho
āvārgī-e-dil bhī ga.ī qaid-e-vafā bhī
jis din se mohabbat ke salāsil meñ paḌe ho
har lahza badaltī huī duniyā ke makīno
kyā jāniye tum kaun sī manzil meñ paḌe ho
kis jurm kī tāzīr ye kis Dhab kī sazā hai
lazzat-kash-e-tanhā.ī ho mahfil meñ paḌe ho
kis tarah na fariyād kā phailā.eñ ye dāman
tum gul ho ki har ḳhvāb-e-anādil meñ paḌe ho
manzil kī talab saath hī sargarm-e-safar hai
dariyā ho magar halqa-e-sāhil meñ paḌe ho
har shai meñ nazar aatā hai ḳhud apnā hī chehra
ā.īne ke tum jaise muqābil meñ paḌe ho
kahtā hai 'nadīm' aaj mujhe dīda-e-bedār
tum barq ho aur ḳhirman-e-hāsil meñ paḌe ho