judā kyā ho ga.e tum se na phir yakjā hue ḳhud se
milā vo iḳhtiyār āḳhir ki ham tanhā hue ḳhud se
tah-e-āb-e-dil-o-jāñ motiyoñ kī tarah rahte haiñ
jo manzar is jahān-e-ḳhāk meñ paidā hue ḳhud se
chhupā lete tirī sūrat ham apnī aañkh meñ dil meñ
lab-e-goyā ke hāthoñ kis liye rusvā hue ḳhud se
uḌī vo ḳhāk-e-dil sūrat nazar aatī nahīñ apnī
pareshāñ ho ga.e itne ki bargashta hue ḳhud se
vo jheleñ saḳhtiyāñ jaañ par ki dil patthar huā apnā
bachāyā is qadar ḳhud ko ki be-parvā hue ḳhud se
milā vo nuur āñkhoñ ko ki be saaya hue ham bhī
hijāb-e-lā-makāñ paayā jo be-parvā hue ḳhud se
paḌe the be-ḳhabar kab se ḳhamoshī ke samundar meñ
havā aisī chalī ham zamzama-pairā hue ḳhud se
ab is zauq-e-huzūrī ke maze kis se bayāñ kījiye
ham apnī ḳhalvatoñ meñ kis tarah goyā hue ḳhud se
'nadīm' apne safīne ko bahā kar le ga.e har-sū
jo tūfāñ qulzum-e-jāñ meñ mire barpā hue ḳhud se