Salahuddin Nadeem

gham hun jo apne aap mein rista dikhai de

Salahuddin Nadeem

ġham huuñ jo apne aap meñ ristā dikhā.ī de
dariyā meñ Duub kar hī kinārā dikhā.ī de
dekho jo ġhaur se kabhī chehroñ kī vahshateñ
ābādiyoñ meñ bhī tumheñ sahrā dikhā.ī de
sūraj kī raushnī meñ kabhī apnī samt dekh
tārīkiyoñ meñ kyā tujhe saaya dikhā.ī de
nazroñ meñ bas gayā mire dil meñ utar gayā
sūrat se ajnabī ki jo apnā dikhā.ī de
ḳhvāboñ ke sāhiloñ kī taraf dekhtā hai kaun
chaḌhtā huā jo dard kā dariyā dikhā.ī de
is shahr-e-be-charāġh meñ chehra vo chāñd sā
aa.e jo apne sāmne kaisā dikhā.ī de
kohrām sā hai siine ke andar machā huā
ḳhushiyoñ se baaġh baaġh ye chehra dikhā.ī de
kyā qahr hai jo raunaq-e-mahfil thā ai 'nadīm'
vo shaḳhs shahar-bhar meñ akelā dikhā.ī de
Top Urdushayar.com